Khalifa -e- Aala Hazrat, Hazrat Allama Ziyauddin Ahmad Madni Rahimahullahu Ta'ala Se Ek Shakhs Ne Puchha :
Tawassul Ke Jaayez Hone Par Kya Daleel Hai?
Aap Ne Farmaya Ke Allah Ta'ala Ka Ye Farman Daleel Hai :
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوا اتَّقُوا اللّٰهَ وَ ابْتَغُوْۤا اِلَیْهِ الْوَسِیْلَةَ (المائدۃ:35)
Tarjuma : Aye Iman Waalo! Allah Ta'ala Se Daro Aur Usi Ki Taraf Wasila Talash Karo
Us Shakhs Ne Kaha Ke Is Aayat Mein To Wasila Se Muraad Aamaal -e- Saaliha Hain
Aap Rahimahullah Ne Farmaya : Humare Aamaal Maqbool Hain Ya Mardood?
Us Ne Kaha : Mujhe Kya Maloom?
Aap Ne Farmaya : Huzoor ﷺ Bargaah -e- Khuda Mein Maqbool Hain Ya Nahin?
Us Ne Kaha : Yaqeenan Maqbool Hain
Aap Ne Farmaya : Jab Aamaal -e- Saaliha Ko Wasila Banaya Ja Sakta Hai Jin Ki Qabooliyat Mashkook Hai, To Huzoor -e- Akram ﷺ Ko Wasila Kyun Nahin Banaya Ja Sakta Jo Yaqeenan Maqbool Hain
(انظر: عقائد و نظریات، چوتھا باب، ص137)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here