Abde Mustafa : Bas Ek Naam Nahin Pehchan Hai
Abde Mustafa, Ye Naam Kisi Shakhs Ya Kisi Tanzeem Ke Liye Khaas Nahin Balki Har Sunni Abde Mustafa Hai
Jis Jis Ke Aaqa Mustafa Kareem Hain Wo Abde Mustafa Hai
Jaise Sab Ka Khuda Hai Ek Hai Waise Hi
Inka Unka Tumhara Humara Nabi
Abde Mustafa Ek Naam Hi Nahin Balki Haq Aur Batil Ke Darmiyan Ek Pehchan Hai
Khud Ko Abde Mustafa Kehne Se Katrane Waale Aur Is Mein Shirk Ka Pahlu Dhundne Waale Khud Ki Nishan Dehi Kar Dete Hain Ke Wo Kis Taraf Hain
Aap Khud Ko Abde Mustafa Kahein, Abde Mustafa Likhein, Har Sunni Fakhr Ke Saath Kahe Ke Haan Main Hoon Abde Mustafa
Deo Ke Bando Se Hum Ko Kya Gharz
Hum Hain Abde Mustafa Phir Tujh Ko Kya
Jo Sirf Abdullah Hone Ka Daawa Karte Hain Aur Abde Mustafa Kehlane Mein Jinhein Shirk Nazar Aata Hai Wo Jaan Lein Ke Jab Tak Koi Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ko Apna Malik Na Maane Tab Tak Wo Iman Ki Meethas Nahin Pa Sakta
Khauf Na Rakh Raza Zara, Tu To Hai Abde Mustafa
Tere Liye Amaan Hai Tere Liye Amaan Hai
Ibadatein Zaroori Hain Inkaar Nahin Par Jab Hum Abde Mustafa Hain To,
Hum Rasoolullah Ke, Jannat Rasoolullah Ki
Hum Sab Abde Mustafa Hain, Ye Naam Humara Aqeeda Hai, Ye Naam Humari Pehchan Hai Aur Ye Naam Humein Dusro Se Alag Karta Hai
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here