Aisa Lagta Hai?
Kya Kabhi Kabhi Aapko Aisa Nahin Lagta Ke Hum Apni Islaah Kar Lein Yahi Kaafi Hai?
Achhi Baat Hai Ke Logon Ki Islaah Ki Jaaye Par Aisa Mahsoos Hota Hai Ke Humein Sabse Zyada Islaah Ki Zaroorat Hai
Hum Dusro Ke Pehchanne Nikle Hain Ke Kaun Kaisa Hai Par Kya Ye Haqeeqat Nahin Ke Ab Tak Humne Khud Ko Nahin Pehchana?
Jo Khud Ko Na Pehchan Saka Wo Dusro Ki Pehchan Mein Dhoka Kha Sakta Hai Kyunki Jo Zaahir Ho Wahi Baatin Nahin Hota
Hum Khoob Kehte Hain Par Kya Hum Khoob Jaante Hain?
Kaha Jaata Hai Ke Kehne Waale Jaante Nahin Aur Jaanne Waale Kehte Nahin!
Dusro Par Koshish Ke Liye Waqt Sarf Karna Behtar Par Apne Liye Fursat Ka Waqt Talash Kijiye Phir Khud Ko Badal Kar Dekhiye,
Khud Se Lad Kar Dekhiye,
Khud Ko Pehchanne Ki Koshish Kijiye,
Khud Ki Islaah Kar Ke Dekhiye...
Jab Bartan Bhar Jaaye Tabhi Labrez Ho Kar Paani Baahar Girta Hai Warna Sirf Aawaz Aati Hai
Aawaz Nahin Haqeeqat Banne Ki Koshish Kijiye
Aawaz Aati Hai Aur Gum Ho Jaati Hai Par Haqeeqat Baaqi Rehti Hai
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here