Biwi Ke Liye Baitul Khala Mein Paani Pahunchana!
Imam Ghazali Rahimahullahu Ta'ala Apni Kitab Ihyaul Uloom Mein Likhte Hain Ke Ek Buzurg Ne Kisi Aurat Se Nikah Kiya Aur Wo Humesha Uski Khidmat Karte Rehte Hatta Ke Us Aurat Ko Sharm Mahsoos Huyi Aur Usne Apne Walid Se Is Baat Ka Zikr Kiya Ke Main Is Shakhs Se Hairan Hoon Ke Ye Mere Saath Aisa Sulook Karte Hain Hatta Ke Kayi Saalo Se Main Baitul Khala Bhi Jaati Hoon To Ye Mere Liye Paani Pehle Pahuncha Dete Hain!
(ملخصاً: احیاء العلوم، ج3، ص402)
Aise Agar Koi Apni Biwi Se Pyaar Kare To Ise Ghulami Kehna Ghalat Hai
Agar Is Qadr Aap Kisi Ka Khayaal Rakhenge To Us Ke Maathe Par Seeng Nahin Lagi Huyi Hai Ke Wo Aapse Ladegi
Ab Agar Aap Tedhi Pasli Ke Saath Tedhi Harkat Karenge To Phir Pasli To Tootegi
Allah Ta'ala Humein Apni Biwiyo Ke Huqooq Ada Karne Ki Taufiq Ata Farmaye
Beshak Allah Ne Jinhein Ye Ne'amat Di Hai Unhein Is Ki Qadr Karni Chahiye Aur Aurato Ko Bhi Chahiye Ke Apne Sartaaj, Apne Hakim Aur Apni Jannat Ko Haqeer Hargiz Na Samjhein
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here