Ek Khwab Aur Nasihatein
Ek Jagah Baraat Mein Jaana Hua, Maine Raat Wahi Guzari, Subah Sawere Thoda Ghumne Phirne Ke Liye Nikla Taaki Ilaqe Ko Dekh Saku
Main Ird Gird Dekhta Chalta Ja Raha Tha
Nayi Nayi Imaratein, Mukhtalif Qism Ke Darakhto Aur Logon Mein Kho Sa Gaya Tha
Mujhe Ek Pal Ke Liye Laga Ke Bahut Aage Aa Gaya Hoon Lekin Phir Ye Soch Kar Chalta Raha Ke Ye Raasta Aage Kisi Raaste Se Mil Jayega Jahan Se Main Waapas Aa Jaunga
Aakhir Mein Ek Aise Maqaam Se Guzra Jahan Kayi Kutte Ek Dusre Se Thodi Doori Par Soye Huye The
Mujhe Thoda Khauf Hua Phir Aahista Se Aage Badhne Laga Lekin Bajaye Koi Raasta Milne Ke Mujh Par Raasta Tang Ho Raha Tha, Deewarein Unchi Hoti Ja Rahi Thi Phir Achanak Samne Dekha Ke Raasta Band Hai To Waapas Hone Ke Liye Muda Aur Thoda Sa Hi Chala Tha Ke Ek Ke Baad Ek Kutte Pichhe Pad Gaye
Wo Mujhe Daudane Lage, Main Bhagne Ki Poori Koshish Kar Raha Tha Ke Achanak Ek Cheez Mere Samne Aayi Jo Ghaliban Insani Shakl Mein Thi Aur Us Ne Kutto Ko Maarna Shuru Kar Diya Lekin Wo Kamyaab Na Ho Saka Aur Wo Kutte Phir Mere Pichhe Ho Liye
Bhagte Bhagte Mera Haal Bura Ho Chuka Tha Aur Main Ye Tamanna Kar Raha Tha Ke Kaash Ye Koi Khwab Ho Ke Ek Buzurg Achanak Zaahir Huye Aur Un Ki Aamad Se Kutte Ghaayib Ho Gaye
Mujhe Sukoon Mila Aur Phir Main Neend Se Bedaar Ho Gaya
Mujhe Is Khwab Ki Tabeer To Nahin Pata Albatta Jo Maine Samjha Wo Ye Hai :
Wo Raasta Jis Par Main Chal Pada Tha Wo Dunya Hai
Shuru Mein Mujhe Achha Laga Par Jab Khatra Mahsoos Hua To Bahut Der Ho Chuki Thi
Jab Maine Waapsi Ki Koshish Ki To Dunya Kutte Ki Tarah Mere Pichhe Pad Gayi Aur Jo Cheez Pehle Mujhe Bachane Aayi Wo Mere Aamaal The Lekin Un Aamaal Mein Khuloos Nahin Tha, Wo Riyakari Se Bhare Huye The Aur Wo Mujhe Bacha Nahin Paaye Phir Jo Buzurg Mere Saamne Aaye Aur Mujhe Bachaya Wo Auliya Mein Se The
Is Mein Ye Nasihatein Bhi Hain :
Dunya Zaahir Mein Ek Khubsoorat Raasta Hai Par Is Ki Koi Manzil Nahin Hai
Humein Der Hone Se Pehle Laut Aana Chahiye
Nek Aamaal Bhi Khuloos Ke Saath Zaroori Hain Warna Koi Fayeda Nahin Hai
Allah Ke Nek Bando Ki Sohbat Bade Kaam Ki Cheez Hai, Jahan Koi Kaam Nahin Aata Wahan Ye Madad Karte Hain
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here