Jiya Karta Hai Kya Yun Hi Marne Waala?
Humare Pakke Aur Mazboot Gharo Ko Dekhiye...,
Humare Kapdo Par Nazar Daaliye...,
Humara Khana Peena Mulahiza Kijiye,
Aur Humari Khwahisho Ki Ek Fehrist Banaiye Phir Bas Ek Sawal Ko Saamne Rakhiye Ke :
Jiya Karta Hai Kya Yun Hi Marne Waala?
Humare Halaat Dekh Kar Aisa Lagta Hai Ke Humein Marna Hi Nahin Hai
Hum Safar Mein Hain Par Ye Bhool Gaye Ke Hum Musafir Hain
Hum To Raaste Ko Hi Manzil Samajh Baithe Hain!
Jiya Karta Hai Kya Yun Hi Marne Waala,
Tujhe Husne Zaahir Ne Dhoke Mein Daala
Aur Ye Sach Jald Se Jald Jaan Lijiye Ke :
Jagah Jee Lagane Ki Dunya Nahin Hai
Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Ek Pal Hai Ke Aap Saansein Le Rahe Hain, Bas Agle Pal Mein Ye Qissa Khatam Ho Sakta Hai
Sab Kuchh Khatam, Saari Khwahishein Saath Mein Dafn Ho Jayengi Aur Phir Pachhtane Ke Ilawa Koi Chaara Na Hoga
Jahaan Mein Hai Ibrat Ke Har Soo Namoone
Magar Tujh Ko Andha Kiya Rango Boo Ne
Kabhi Ghaur Se Bhi Ye Dekha Hai Tune?
Jo Aabad The Wo Mahal Ab Hain Soone!
Jagah Jee Lagane Ki Dunya Nahin Hai...
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here