Kuchh Karna Hoga
Baithne Se Kaam Nahin Chalega
Kuchh To Karna Hoga
Sochna Achha Hai Par Sirf Sochna Achha Nahin
Kam Se Kam Apni Soch, Apni Fikr, Apne Khayaal Ka Izhaar Kijiye Taaki Dusro Ke Liye Wo Ek Maqsad Ban Jaaye
Aap Qadir Hain Jis Par Wo To Karein
Har Shakhs Apna Behtar Dikhane Ki Koshish Kare
Sukoot Maut Hai
Kohraam Machana Hoga
Jis Shobe Mein Jaayein To Apni Poori Taaqat Laga Dein
Haar Usi Waqt Maanein Jab Aakhiri Saans Aa Jaaye
Tasalsul Ke Saath Thoda Amal Bhi Khoob Fayeda Deta Hai
Aaj Se Shuru Karein Jo Aap Kar Sakte Hain
Na Sochein Ke Aapke Bas Ka Nahin Balki Utar Jaayein Maidan Mein
Karna Hi Hoga Warna Kaun Aayega?
Kya Hum Sab Ek Dusre Par Ilzaam Dete Rahenge Ya Khud Apni Taaqat Ke Mutabiq Aur Apni Salahiyato Ke Mutabiq Maidan -e- Amal Mein Aayenge?
Faisla Aap Ka Hai Ke Ya To Mauqo Ke Intezar Mein Intezar Ban Jaayein Ya Khud Mauqa Ban Kar Aage Badhein
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here