Nabi Ki Taraf Baddua Ki Nisbat
Huzoor -e- Akram Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Taraf Baddua Ki Nisbat Karna Sahih Nahin Hai
Agar Aap Ne Kisi Ke Khilaf Dua Ki Hai To Bhi Use Baddua Kehna Be Adabi Hai
Aap Ka Koi Fa'il Bad Nahin Hai
Bukhari Shareef Ki Ek Riwayat Ki Sharah Mein Deobandiyo Ne Sarahat Ke Saath Baddua Ki Nisbat Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Taraf Ki Hai, Ye Hargiz Durust Nahin
Allama Ghulam Rasool Sayeedi Rahimahullahu Ta'ala Ne Bukhari Shareef Ki Sharah Karte Huye Kayi Jagah Is Par Bahas Ki Hai
Pehli Jild, Safa 705 Par Aur Isse Pehle Bhi Phir Jild 13, Safa 806 Aur Chand Maqamaat Par Likhte Hain Ke Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ka Koi Amal Bad Nahin Balki Har Amal Hasan Hai Lihaza Huzoor Ne Jo Dua -e- Zarar Farmayi Use Baddua Kehna Najayez Hai
(انظر: نعم الباری)
Isse Maloom Hua Ke Agar Aisi Riwayaat Milti Hain Jin Mein Aaqa -e- Kareem Ne Gustakho Ke Liye Dua -e- Zarar Farmayi To Use Baddua Nahin Kahenge Balki Is Tarah Kahenge Ke Unke Khilaf Dua Ki Ya Dua -e- Zarar Farmayi
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here