Rap Songs Aur Naat
Naat Sunne Se Ishqe Rasool Mein Izafa Hota Aur Ye Ek Ibadat Bhi Hai Par Ise Bhi Kuchh Logon Ne Khel Kood Ka Samaan Bana Liya Hai
Kuchh Naat Padhne Waale Gaano Ki Tarz Ko Apnate Hain Aur Kuchh Rap Style Mein Naat Padhte Hain
In Se Parhez Karna Zaroori Hai
Behrul Uloom, Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Rahimahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke Ash'aar Aur Geeto Ke Mukhtalaf Wazan Aur Behrein Hoti Hain Jin Mein Har Qism Ke Mazmoon Ko Nazm Kiya Ja Sakta Hai Aur Mukhtalaf Lehje Aur Dhun Mein Gaaya Ja Sakta Hai Isliye Koi Qayeda -e- Kulliya Nahin Bataya Ja Sakta Ke Fulaan Fulaan Tarz Par Naat Padhni Chahiye Aur Fulaan Par Nahin
Haan Naat Shareef Ke Liye Pur Waqaar Aur Sanjeeda Labo Lehja Hona Chahiye Aur Ghair Muhazzab Labo Lehje Se Parhez Karna Chahiye
(فتاوی بحر العلوم، ج5، ص329)
Mufti Muhammad Qasim Ziaul Qadri Likhte Hain Ke Mash'hoor Gaano Ki Tarz Par Naat Padhna Mana Hai Lihaza Isse Ehtiraz Kiya Jaaye
Haan Agar Kisi Ne Naat Par Koi Tarz Lagayi Aur Baad Mein Kisi Ne Usi Tarz Par Gaana Gaaya To Ab Us Tarz Par Naat Padhne Mein Haraj Nahin
(فتاوی یورپ و برطانیہ، ص385)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here