Haqeeqat
Insan Jo Dekhta Hai Use Hi Haqeeqat Samajh Leta Hai
Kitni Ajeeb Baat Hai Na Ke Humare Iman Ka Aksar Hissa Aisi Baato Par Mushtamil Hai Jo Humne Dekha Hi Nahin!
Dikhayi Dene Waali Har Cheez Haqeeqat Nahin Hoti
Haqeeqat Bilkul Door Nahin, Humare Saamne Hai
Haqeeqat Mein Khud Ko Dekha Ja Sakta Hai Aur Isse Khud Ki Haqeeqat Maloom Ho Jaati Hai
Haqeeqat Ek Aayina Hai Jiske Liye Zaahiri Aankhein Bhi Shart Nahin
Yun Keh Lein Ke Ye Ek Ehsaas Hai Jise Mahsoos Kiya Ja Sakta Hai
Agar Haqeeqat Par In Chhoti Si Aankho Se Qabza Karna Chahein To Ye Mumkin Nahin Kyunki Ye Ek Aisa Samundar Hai Jis Ki Inteha Nahin
Haqeeqat Ko Dekhne Ke Liye Dil Zaroori Hai,
Ek Aisa Dil Jo Dekh Sake Warna Ye Aankhein Darya Ko Samundar Samajh Leti Hain
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here